08 January 2009

Saare Jahan Se Achha Hindustan Hamara...

Saare jahan se achcha hindustan hamara
Hum bulbulein hai us ki ye gulistaan hamara

Gurbat mein ho agar hum, rehti hai dil vatan mein
Samjho vahin hame bhi dil ho jahaan hamara

Parbat woh sabse ooncha, hamsaya asman ka
Woh santari hamara, woh pasbaan hamara

Godi mein khelthi hai us ki hazaaron nadiyaan
Gulshan hai jin ke damse rask-e jinaan hamara

Ai ab-e rudhe ganga! Woh din hai yaad tujhko
Uthra tere kinare jab karva hamara


Mazhab nahi sikhaata aapas mein bair rakhna
Hindi hai hum watan hai hindustan hamara

Yunan-o-misr-o-rooma sab mit gaye jahan se
Ab tak magar hai baqi naamo nishaan hamara

Kuch bat hai ki hasti mitti nahin hamari
Sadiyo raha hai dushman daur-e zama hamara

Iqbal! koi mahram apna nahin jaha me
Maaloom kya kisi ko dard-e nihaan hamara

Saare jahan se achcha hindustan hamara
Hum bulbulein hai us ki ye gulistaan hamara

No comments:

Post a Comment